Azad Gulati

sarhad-e-jism se bahar kahin ghar likkha tha

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
sarhad-e-jism se bāhar kahīñ ghar likkhā thā
ruuh par apnī ḳhalāoñ kā safar likkhā thā
ham bhaTakte rahe sadiyoñ jise paḌhne ke liye
apne andar vo kahīñ harf-e-hunar likkhā thā
aaj un āñkhoñ meñ dekhā to milā dasht-e-ḳhalā
ham ne jin āñkhoñ meñ ik ḳhvāb-nagar likkhā thā
apne ghar meñ isī ehsās ne jiine na diyā
apne hāthoñ pe kisī aur kā ghar likkhā thā
zindagī ek sulagtā huā sahrā thā jahāñ
sab kī āñkhoñ meñ sarāboñ kā bhañvar likkhā thā
kaun thā mujh meñ ki jis ne mujhe paḌhne na diyā
mere chehre pe mirā naam agar likkhā thā
apnī hī zaat ke haale meñ rahe ham 'āzād'
an-ginat dā.eroñ kā ya.anī safar likkhā thā
Top Urdushayar.com