sarhad-e-jism  se  bāhar  kahīñ  ghar  likkhā  thā
ruuh  par  apnī  ḳhalāoñ  kā  safar  likkhā  thā
ham  bhaTakte  rahe  sadiyoñ  jise  paḌhne  ke  liye
apne  andar  vo  kahīñ  harf-e-hunar  likkhā  thā
aaj  un  āñkhoñ  meñ  dekhā  to  milā  dasht-e-ḳhalā
ham  ne  jin  āñkhoñ  meñ  ik  ḳhvāb-nagar  likkhā  thā
apne  ghar  meñ  isī  ehsās  ne  jiine  na  diyā
apne  hāthoñ  pe  kisī  aur  kā  ghar  likkhā  thā
zindagī  ek  sulagtā  huā  sahrā  thā  jahāñ
sab  kī  āñkhoñ  meñ  sarāboñ  kā  bhañvar  likkhā  thā
kaun  thā  mujh  meñ  ki  jis  ne  mujhe  paḌhne  na  diyā
mere  chehre  pe  mirā  naam  agar  likkhā  thā
apnī  hī  zaat  ke  haale  meñ  rahe  ham  'āzād'
an-ginat  dā.eroñ  kā  ya.anī  safar  likkhā  thā