kabhī  milī  jo  tire  dard  kī  navā  mujh  ko
ḳhamoshiyoñ  ne  mujhī  se  kiyā  judā  mujh  ko
badan  ke  suune  khañDar  meñ  kabhī  jalā  mujh  ko
maiñ  terī  ruuh  kī  zau  huuñ  na  yuuñ  bujhā  mujh  ko
maiñ  apnī  zaat  kī  ham-sā.egī  se  Dartā  huuñ
mire  qarīb  ḳhudā  ke  liye  na  lā  mujh  ko
maiñ  chup  huuñ  apnī  shikast-e-sadā  kī  vahshat  par
mujhe  na  bolnā  paḌ  jaa.e  mat  bulā  mujh  ko
ye  maiñ  thā  yā  mire  andar  kā  ḳhauf  thā  jis  ne
tamām  umr  dī  tanhā.ī  kī  sazā  mujh  ko
bhaTak  rahā  huuñ  maiñ  be-samt  rāstoñ  kī  tarah
kisī  bhī  samt  kā  ho  rāsta  dikhā  mujh  ko
har  ik  ne  dekhā  mujhe  apnī  apnī  nazroñ  se
koī  to  merī  nazar  se  bhī  dekhtā  mujh  ko
samo  ke  āñkhoñ  meñ  umDī  ghaTā.eñ  ai  'āzād'
vo  ek  dard  kā  sahrā  banā  gayā  mujh  ko