aane  vaale  hādsoñ  ke  ḳhauf  se  sahme  hue
log  phirte  haiñ  ki  jaise  ḳhvāb  hoñ  TuuTe  hue
sub.h  dekhā  to  na  thā  kuchh  paas  uljhan  ke  sivā
raat  ham  baiThe  rahe  kis  soch  meñ  Duube  hue
apne  dukh  meñ  Duub  kar  vus.at  milī  kaisī  hamīñ
haiñ  zamīñ  se  āsmāñ  tak  ham  hī  ham  phaile  hue
aaj  ā.īne  meñ  ḳhud  ko  dekh  kar  yaad  aa  gayā
ek  muddat  ho  ga.ī  jis  shaḳhs  ko  dekhe  hue
jism  kī  dīvār  gir  jaa.e  to  kuchh  ehsās  ho
apne  andar  ham  paḌe  haiñ  kis  qadar  simTe  hue
kis  se  pūchheñ  rāt-bhar  apne  bhaTakne  kā  sabab
sab  yahāñ  milte  haiñ  jaise  niiñd  meñ  jaage  hue
is  nagar  ke  jagmagāte  rāstoñ  par  ghuum  kar
ham  chale  aa.e  ġhamoñ  kī  dhuul  meñ  lipTe  hue
jin  ko  ai  'āzād'  baḳhshī  thī  mahak  ham  ne  kabhī
ab  vahī  raste  hamāre  vāste  kāñTe  hue