raushnī  phailī  to  sab  kā  rañg  kaalā  ho  gayā
kuchh  diye  aise  jale  har-sū  añdherā  ho  gayā
jis  ne  merā  saath  chhoḌā  aur  kisī  kā  ho  gayā
sach  to  ye  hai  mujh  se  bhī  baḌh  kar  vo  tanhā  ho  gayā
vaqt  kā  ye  moḌ  kaisā  hai  ki  tujh  se  mil  ke  bhī
tujh  ko  kho  dene  kā  ġham  kuchh  aur  gahrā  ho  gayā
ham  ne  tanhā.ī  kī  chādar  taan  lī  aur  so  ga.e
log  jab  kahne  lage  uTTho  saverā  ho  gayā
Dūbtā  sūraj  huuñ  maiñ  vo  merā  saayā  dekh  kar
sochtā  ye  hai  qad  us  kā  mujh  se  lambā  ho  gayā
chand  lamhe  the  jo  barsoñ  ba.ad  tak  biite  nahīñ
kuchh  baras  vo  bhī  the  jin  kā  ek  lamha  ho  gayā
jab  zabāñ  kholī  to  sab  ko  niiñd  sī  aane  lagī
chup  hue  to  yuuñ  lagā  har  shaḳhs  bahrā  ho  gayā
saath  us  kā  chhoḌ  kar  aa.e  to  ye  aalam  rahā
ham  ne  jis  chehre  ko  dekhā  us  kā  chehra  ho  gayā
is  ta.alluq  ko  bhalā  'āzād'  maiñ  kyā  naam  duuñ
vo  kisī  kā  ho  ke  bhī  kuchh  aur  merā  ho  gayā