Karamat Ali Shaheedi

manzil safar-e-ishq ki zinhaar na TuTe

Karamat Ali Shaheedi

manzil safar-e-ishq zinhār na TuuTe

jab tak kamar-e-qāfila-e-sālār na TuuTe

is pand se dil nāseh-e-dīñ-dār na TuuTe

but toḌne meñ ka.abe dīvār na TuuTe

be-fikr rahe banda-e-naqāb-e-ruḳh-e-jānāñ

ham se kabhī qufl-e-dar-e-gulzār na TuuTe

jab tak na gavāra ho tujhe naza.a talḳhī

parhez tirā ai dil-e-bīmār na TuuTe

har roz ho jab saikḌoñ ushshāq chaurañg

ai shoḳh kahāñ tak tirī talvār na TuuTe

sar paTkūñ jo dīvār se kahtā hai vo zālim

bas bas mire ghar kahīñ dīvār na TuuTe

bejā hai tirī garmī-e-bāzār shikva

kyuuñ jins na.ī ke ḳharīdār na TuuTe

qismat meñ ho go manzil-e-maqsad pahuñchnā

par ābla-e-pā meñ sar-e-ḳhār na TuuTe

āsāñ hai 'shahīdī' agar dil-shikanī ho

par shart ye hai ḳhātir-e-aġhyār na TuuTe

Top Urdushayar.com