mai  ho  abr  o  havā  nahīñ  to  na  ho
dard  ho  gar  davā  nahīñ  to  na  ho
ham  to  haiñ  āshnā  tire  zālim
tū  agar  āshnā  nahīñ  to  na  ho
dil  hai  vābasta  tere  dāman  se
dast  merā  rasā  nahīñ  to  na  ho
ham  to  terī  jafā  ke  bande  haiñ
tujh  meñ  rasm-e-vafā  nahīñ  to  na  ho
āstāñ  par  to  gir  rahe  haiñ  agar
terī  majlis  meñ  jā  nahīñ  to  na  ho
ham  to  haiñ  saaf,  bad-gumāñ  mere
tere  dil  meñ  safā  nahīñ  to  na  ho
dil  ko  iksīr  haigī  terī  nigāh
havas-e-kīmiyā  nahīñ  to  na  ho
ham  to  hāshā  nahīñ  kisī  se  bure
koī  ham  se  bhalā  nahīñ  to  na  ho
tālib-e-vasl  kab  talak  rahiye
ho  to  ho  jaa.e  yā  nahīñ  to  na  ho
'hātim'  ab  kis  kī  mujh  ko  parvā  hai
koī  mirā  juz  ḳhudā  nahīñ  to  na  ho