jalva-gar  fānūs-e-tan  meñ  hai  hamārā  man  charāġh
be-batī  aur  tel  ye  hai  roz  o  shab  raushan  charāġh
tā-abad  is  ko  nahīñ  bād-e-muḳhālif  se  ḳhatar
hai  hamāre  haath  par  be-parda-e-dāman  charāġh
aaj  kī  shab  lutf  hai  sair-e-chaman  ai  andalīb
roġhan-e-gul  se  huā  hai  har  gul-e-gulshan  charāġh
Dar  nahīñ  majnūñ  ko  phirne  kā  shab-e-hijrāñ  ke  biich
haq  meñ  us  ke  dīda-e-āhū  hue  ban  ban  charāġh
yak  nazar  us  kī  dil-e-mushtāq  hai  jin  ne  ki  aaj
ek  jalve  meñ  kiyā  hai  ḳhāna-e-darpan  charāġh
jab  se  hai  raushan  diloñ  ke  dil  par  'hātim'  kī  nigāh
tab  se  raushan  hai  gā  us  ke  dil  kā  be-roġhan  charāġh