aage  kyā  tum  sā  jahāñ  meñ  koī  mahbūb  na  thā
kyā  tumhīñ  ḳhuub  bane  aur  koī  ḳhuub  na  thā
in  dinoñ  ham  se  jo  vahshī  kī  tarah  bhaḌko  ho
ye  to  milne  kā  tumhāre  kabhū  uslūb  na  thā
nāma-bar  dil  kī  tasallī  ke  liye  bhejūñ  huuñ
varna  ahvāl  mirā  qābil-e-maktūb  na  thā
tāqat  ab  taaq  huī  sabr-o-shakebā.ī  kī
kab  talak  sabr  kare  dil  mirā  ayyūb  na  thā
ġhalba-e-ishq  ne  'hātim'  ko  pachhāḌā  āḳhir
zor  meñ  apne  vo  itnā  bhī  to  maġhlūb  na  thā