na  mohtasib  se  ye  mujh  ko  ġharaz  na  mast  se  kaam
mujhe  to  lenā  hai  saaqī  ke  aaj  dast  se  kaam
sanam  tū  merī  parastish  kī  qadr  tab  jaane
ki  jab  paḌe  tujhe  kāfir  ḳhudā-parast  se  kaam
maiñ  gosha-gīr  huā  sair  kar  nasheb  o  farāz
rahā  na  mere  qadam  ko  buland  o  past  se  kaam
rakhe  hai  shīsha  mirā  sañg  saath  rabt-e-qadīm
ki  aaTh  pahr  mire  dil  ko  hai  shikast  se  kaam
jise  masāvī  hai  maazī  o  haal  o  mustaqbil
use  rahā  nahīñ  ā.inda  būd-o-hast  se  kaam
maiñ  kufr  o  diiñ  se  guzar  kar  huā  huuñ  lā-maz.hab
ḳhudā-parast  se  matlab  na  but-parast  se  kaam
kisū  ko  qaid  kare  hai  kisū  ko  bāñdhe  hai
vo  le  hai  apne  amal  biich  band-o-bast  se  kaam
dil  us  kī  zulf  ke  pechoñ  meñ  'hātim'  uljhā  hai
rakhe  nahīñ  hai  mirā  said  daam  o  shust  se  kaam