jo  mire  ham-asr  ham-sohbat  the  so  sab  mar  ga.e
apnī  apnī  umar  kā  paimāna  har  yak  bhar  ga.e
pūchhte  kyā  ho  gunāhoñ  ke  giraftāroñ  kā  haal
ḳhushk  zāhid  the  so  is  jāgah  se  dāman  tar  ga.e
haath  se  sayyād  ke  sābit  na  chhūTā  ek  said
bāl-o-par  rakhte  the  so  be-bāl  aur  be-par  ga.e
ye  qimār-e-ishq  hai  ai  bul-havas  baazī  na  jaan
sar  ga.e  bahutoñ  ke  aur  bahutoñ  ke  is  meñ  ghar  ga.e
ham  ne  hastī  aur  adam  kī  aa  ke  kī  hai  ḳhuub  sair
rasm  o  aa.iiñ  dekh  in  logoñ  kā  az  bas  Dar  ga.e
ek  jo  aayā  use  le  god  meñ  dī  ghar  meñ  jā
dūsre  ko  kaaḌh  kar  ghar  se  zamīñ  meñ  dhar  ga.e
tum  kaho  apnī  miyāñ  'hātim'  ki  ho  kis  fikr  kī
aur  jo  aa.e  jane  jaisī  banī  so  kar  ga.e