mujhe  kyā  dekh  kar  tū  tak  rahā  hai
tire  hāthoñ  kaleja  pak  rahā  hai
jahāñ  kyūñkar  na  ho  nazroñ  meñ  tārīk
tirā  muñh  zulf  nīche  Dhak  rahā  hai
tumhārī  nā-qadar-dānī  kā  afsos
hamāre  jī  meñ  marte  tak  rahā  hai
ḳhudā  ke  vāste  us  se  na  bolo
nashe  kī  lahr  meñ  kuchh  bak  rahā  hai
phirā  ab  tak  nahīñ  'hātim'  kā  qāsid
ḳhudāyā  raah  meñ  kyā  thak  rahā  hai