maiñ  apne  dast  par  shab  ḳhvāb  meñ  dekhā  ki  aḳhgar  thā
sahar  ko  khul  ga.ī  jab  aañkh  merā  haath  dil  par  thā
na  thī  tā-sub.h  kuchh  hājat  charāg  o  sham.a  o  mish.al  kī
hamārī  bazm  meñ  shab  jalva-gar  vo  māh-e-paikar  thā
tirī  ik  jumbish-e-abrū  se  aalam  ho  gayā  zaa.e
nazar  kar  jis  taraf  dekhā  to  jo  dhaḌ  thā  so  be-sar  thā
tū  is  raftār  o  qad  se  jis  taraf  guzrā  mire  sāhib
tire  faiz-e-qadam  se  har  qadam  sarv  o  sanobar  thā
na  thī  parvāz  kī  tāqat  sar-e-dīvār-e-gulshan  tak
ki  jo  taa.ir  thā  so  sayyād  ke  hāthoñ  se  be-par  thā
chalā  jaatā  thā  'hātim'  aaj  kuchh  vāhī-tabāhī  sā
jo  dekhā  haath  meñ  us  ke  tire  shikve  kā  daftar  thā