Shaikh Zahuruddin Hatim

be tere jaan na thi jaan meri jaan ke bich

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
be tire jaan na thī jaan mirī jaan ke biich
aan kar phir ke jalāyā tū mujhe aan ke biich
ek din haath lagāyā thā tire dāman ko
ab talak sar hai ḳhajālat se garebān ke biich
tū ne dekhā na kabhī pyaar kī nazroñ se mujhe
jī nikal jā.egā merā isī armān ke biich
aaj āshiq ke ta.iiñ kyuuñ na kahe tū dur dur
vāsta ye hai ki motī hai tire kaan ke biich
huī zabāñ laal tire haath se khā ke biiḌā
kyā fusūñ paḌh ke khilāyā thā mujhe paan ke biich
kuchh to majnūñ ko halāvat hai vahāñ dīvāno
chhoḌ shahroñ ko jo phirtā hai bayābān ke biich
dekh 'hātim' ko bhalā tū ne burā kyuuñ maanā
kyā ḳhalal us ne kiyā aa ke tirī shaan ke biich
Top Urdushayar.com