be  tire  jaan  na  thī  jaan  mirī  jaan  ke  biich
aan  kar  phir  ke  jalāyā  tū  mujhe  aan  ke  biich
ek  din  haath  lagāyā  thā  tire  dāman  ko
ab  talak  sar  hai  ḳhajālat  se  garebān  ke  biich
tū  ne  dekhā  na  kabhī  pyaar  kī  nazroñ  se  mujhe
jī  nikal  jā.egā  merā  isī  armān  ke  biich
aaj  āshiq  ke  ta.iiñ  kyuuñ  na  kahe  tū  dur  dur
vāsta  ye  hai  ki  motī  hai  tire  kaan  ke  biich
huī  zabāñ  laal  tire  haath  se  khā  ke  biiḌā
kyā  fusūñ  paḌh  ke  khilāyā  thā  mujhe  paan  ke  biich
kuchh  to  majnūñ  ko  halāvat  hai  vahāñ  dīvāno
chhoḌ  shahroñ  ko  jo  phirtā  hai  bayābān  ke  biich
dekh  'hātim'  ko  bhalā  tū  ne  burā  kyuuñ  maanā
kyā  ḳhalal  us  ne  kiyā  aa  ke  tirī  shaan  ke  biich