baaġh  meñ  tū  kabhū  jo  hañstā  hai
ġhuncha-e-dil  mirā  bikastā  hai
are  be-mehr  mujh  ko  rotā  chhoḌ
kahāñ  jaatā  hai  meñh  barastā  hai
tere  māroñ  huoñ  kī  sūrat  dekh
merā  marne  ko  jī  tarastā  hai
terī  tarvār  se  koī  na  bachā
ab  kamar  kis  upar  tū  kastā  hai
kyuuñ  mozāhim  hai  mere  aane  se
kui  tirā  ghar  nahīñ  ye  rastā  hai
merī  fariyād  koī  nahīñ  suntā
koī  is  shahr  meñ  bhī  bastā  hai
'hātim'  us  zulf  kī  taraf  mat  dekh
jaan  kar  kyuuñ  balā  meñ  phañstā  hai