dekhā  kisī  ne  ham  se  zamāne  ne  kyā  kiyā
aur  kyā  kaheñ  ki  yaar  yagāne  ne  kyā  kiyā
dil  chāhtā  huuñ  aur  ko  duuñ  tere  jaur  se
kahnā  na  phir  ki  ham  se  fulāne  ne  kyā  kiyā
qātil  to  us  kā  har  sar-e-mū  bāl-pan  se  thā
ārā.ish  us  kī  zulf  ko  shāne  ne  kyā  kiyā
dīnār  aur  diram  kī  na  lā  dil  ko  daam  meñ
qārūñ  se  hai  ḳhabar  ki  ḳhazāne  ne  kyā  kiyā
'hātim'  diyā  hai  shaiḳh  ne  ab  dil  sanam  ke  haath
dīvāna  maiñ  to  thā  ye  siyāne  ne  kyā  kiyā