ishq  ne  chuTkī  sī  lī  phir  aa  ke  merī  jaañ  ke  biich
aag  sī  kuchh  lag  ga.ī  hai  sīna-e-bariyāñ  ke  biich
ahl-e-ma.ānī  juz  na  būjhegā  koī  is  ramz  ko
ham  ne  paayā  hai  ḳhudā  ko  sūrat-e-insāñ  ke  biich
is  sabab  maiñ  jañg  shāne  se  karūñ  huuñ  baar  baar
dil  huā  hai  gum  mirā  us  kākul-e-pechāñ  ke  biich
zulf  o  chashm  o  ḳhaal  o  ḳhat  chāroñ  haiñ  dushman  diin  ke
haq  rakkhe  īmāñ  salāmat  aise  kufristāñ  ke  biich
naqd-e-dil  khoyā  hai  ham  ne  jaan  kar  is  raah  meñ
fil-haqīqat  āshiqoñ  ko  suud  hai  nuqsāñ  ke  biich
gar  adū  merī  badī  kartā  hai  ḳhaas  o  aam  meñ
maiñ  use  rusvā  karūñgā  bāñdh  kar  dīvāñ  ke  biich
raat  din  jaarī  hai  aalam  meñ  mirā  faiz-e-suḳhan
go  ki  huuñ  muhtāj  par  'hātim'  huuñ  hindostāñ  ke  biich