tū  dekh  use  sab  jā  āñkhoñ  ke  uThā  parde
mānind  suvaidā  ke  dil  biich  use  ghar  de
aalam  ke  muraqqe  meñ  tasvīr  usī  kī  hai
sab  husn  yahāñ  yaaro  us  husn  ke  haiñ  garde
sayyād  kā  sharminda  huuñ  be-par-o-bālī  se
uḌ  kar  abhī  jā  pahuñchūñ  jo  mujh  ko  ḳhudā  par  de
saaqī  tujhe  kam-zarfī  mastoñ  se  nahīñ  lāzim
tarsā  na  mujhe  kāfir  sāġhar  ke  ta.iiñ  bhar  de
bazm-e-dil-e-mushtāqāñ  juuñ  shām-e-ġharībāñ  hai
yak  jalva  meñ  tū  raushan  aa  sham-e-sifat  kar  de
ham  arz  kiyā  us  kī  ḳhidmat  meñ  ki  ai  sāhab
itne  tire  bandoñ  meñ  ek  ham  bhī  haiñ  nau-varde
daulat  se  tirī  sab  kuchh  ham  paas  muhayyā  hai
lab  ḳhushk  o  jigar  biryāñ  chashm-e-tar  o  dil  sar  de
'hātim'  vo  lagā  kahne  ġhusse  se  ki  chal  jhūThe
bandā  maiñ  use  jānūñ  jo  pahle  qadam  sar  de
hushyār  karūñ  'hātim'  mastoñ  ko  nigāhoñ  meñ
qatra  mai-e-vahdat  se  jo  sāqī-e-kausar  de