Shaikh Zahuruddin Hatim

kya uski sifat mein guftugu hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
kyā us kī sifat meñ guftugū hai
jaisā thā vahī hai jo thā sū hai
āñkheñ haiñ to dekh le kahūñ kyā
hāzir nāzir hai rū-ba-rū hai
yak bain kī nazar meñ ek hai gā
ahvāl kī nigah meñ go ki do hai
tū sair kare hai jis chaman kī
har gul meñ sabā usī kī bū hai
vo tujh meñ hai tū hai usī meñ har-dam
kyā us kā surāġh-o-justujū hai
ai shaiḳh tū us kī kuchh haqīqat
mat pūchh ye sirr-e-gū-ma-gū hai
apnī apnī sī sab kaheñ haiñ
kab uqda ye hal kisū se ho hai
ye mas.ala lā-javāb hai gā
chup rahnā yahāñ hamārī ḳhū hai
chālīs baras hue ki 'hātim'
mashshāq-e-qadīm o kohna-go hai
Top Urdushayar.com