kyā  us  kī  sifat  meñ  guftugū  hai
jaisā  thā  vahī  hai  jo  thā  sū  hai
āñkheñ  haiñ  to  dekh  le  kahūñ  kyā
hāzir  nāzir  hai  rū-ba-rū  hai
yak  bain  kī  nazar  meñ  ek  hai  gā
ahvāl  kī  nigah  meñ  go  ki  do  hai
tū  sair  kare  hai  jis  chaman  kī
har  gul  meñ  sabā  usī  kī  bū  hai
vo  tujh  meñ  hai  tū  hai  usī  meñ  har-dam
kyā  us  kā  surāġh-o-justujū  hai
ai  shaiḳh  tū  us  kī  kuchh  haqīqat
mat  pūchh  ye  sirr-e-gū-ma-gū  hai
apnī  apnī  sī  sab  kaheñ  haiñ
kab  uqda  ye  hal  kisū  se  ho  hai
ye  mas.ala  lā-javāb  hai  gā
chup  rahnā  yahāñ  hamārī  ḳhū  hai
chālīs  baras  hue  ki  'hātim'
mashshāq-e-qadīm  o  kohna-go  hai