kis  sitamgar  kā  gunāhgār  huuñ  allāh  allāh
kis  ke  tīroñ  se  dil-afgār  huuñ  allāh  allāh
us  ke  hāthoñ  se  na  jiitā  huuñ  na  martā  huuñ  maiñ
kis  musībat  meñ  giraftār  huuñ  allāh  allāh
ḳhizr  ab  duur  kar  aage  se  mire  āb-e-hayāt
kis  ke  bose  kā  talabgār  huuñ  allāh  allāh
kyuuñ  na  āñkhoñ  meñ  rakhe  mujh  ko  zuleḳhā  bhī  aziiz
kaise  yūsuf  kā  ḳharīdār  huuñ  allāh  allāh
namak-e-husn  se  us  lab  ke  maze  lūTūñ  huuñ
kis  namak-dāñ  kā  namak-ḳhvār  huuñ  allāh  allāh
nargis  ab  ham  se  na  kar  dāva-e-ham-chashmī  tū
kis  kī  nargis  kā  maiñ  bīmār  huuñ  allāh  allāh
itnā  kahtā  bhī  nahīñ  kaun  ye  chillātā  hai
kab  se  nālāñ  pas-e-dīvār  huuñ  allāh  allāh
ḳhvāb  meñ  yaar  ne  aa  mujh  ko  jagāyā  'hātim'
kis  qadar  tāl.e-e-bedār  huuñ  allāh  allāh