duniyā  ḳhayāl-o-ḳhvāb  hai  merī  nigāh  meñ
ābād  sab  ḳharāb  hai  merī  nigāh  meñ
bahtī  phire  hai  umar  talātum  meñ  dahr  ke
insān  juuñ  hubāb  hai  merī  nigāh  meñ
maiñ  bahr-e-ġham  ko  dekh  liyā  nā-ḳhudā  ba-rū
kashtī  na  ho  pa  aab  hai  merī  nigāh  meñ
chhūTā  huuñ  jab  se  shaiḳh  ta.ayyun  kī  qaid  se
har  zarra  āftāb  hai  merī  nigāh  meñ
tum  kaif  meñ  sharāb  ke  kahte  ho  jis  ko  dil
bhūnā  huā  kabāb  hai  merī  nigāh  meñ
kyuuñ  khīñchte  ho  teġh  kamar  se  che-fā.eda
muddat  se  is  kī  aab  hai  merī  nigāh  meñ
'hātim'  tū  is  jahān  kī  lazzāt  par  na  bhuul
ye  pā-e-dar-rikāb  hai  merī  nigāh  meñ