ek  muddat  se  talabgār  huuñ  kin  kā  in  kā
tishna-e-hasrat-e-dīdār  huuñ  kin  kā  in  kā
jaan  ko  bech  ke  ye  naqd-e-dil  ab  laayā  huuñ
sab  se  pahle  maiñ  ḳharīdār  huuñ  kin  kā  in  kā
imtidād  is  mire  bīmār  kā  mat  pūchh  tabīb
roz-e-mīsāq  se  bīmār  huuñ  kin  kā  in  kā
muḳhlisī  qaid  se  mushkil  hai  mujhe  tā-dam-e-marg
dām-e-ulfat  meñ  giraftār  huuñ  kin  kā  in  kā
būd-o-bāsh  apnā  batā.ūñ  maiñ  tumheñ  kyā  yaaro
sākin-e-sāya-e-dār  huuñ  kin  kā  in  kā
hai  bajā  faḳhr  karūñ  apnī  agar  taalā  par
kafsh-bardāroñ  kā  sardār  huuñ  kin  kā  in  kā
gāliyāñ  tujh  ko  jo  dete  haiñ  ye  'hātim'  haiñ  kaun
kuchh  na  pūchho  meñ  gunahgār  huuñ  kin  kā  in  kā
to  sazā-vār-e-sazā  kis  kā  huā  hai  'hātim'
sāhib-e-man  maiñ  gunahgār  huuñ  kin  kā  in  kā