abr  meñ  yād-e-yār  aave  hai
girya  be-iḳhtiyār  aave  hai
baaġh  se  gul-izār  aave  hai
bū-e-gul  par  savār  aave  hai
ai  ḳhizāñ  bhaag  jā  chaman  se  shitāb
varna  fauj-e-bahār  aave  hai
ai  sabā  kis  taraf  ko  guzrī  thī
tujh  se  bū-e-nigār  aave  hai
mujh  havā-ḳhvāh  se  gurez  so  kyuuñ
tujh  ko  kyā  mujh  se  aar  aave  hai
sun  ke  kahne  lage  kisī  ke  koī
kaahe  ko  baar  baar  aave  hai
is  qadar  bas-ki  roz  milne  se
ḳhātiroñ  meñ  ġhubār  aave  hai
maiñ  to  kyā  'hātim'  aise  bad-ḳhū  se
kis  ko  sohbat  barār  aave  hai