dekhne  se  tire  jī  paatā  huuñ
aañkh  ke  pherte  mar  jaatā  huuñ
tere  hoñToñ  ke  ta.iiñ  paan  se  laal
dekh  kar  ḳhūn-e-jigar  khātā  huuñ
aarzū  meñ  tirī  yak  muddat  se
apne  dil  ke  ta.iiñ  tarsātā  huuñ
chaav  jo  dil  meñ  bhare  haiñ  pyāre
tujh  se  kahtā  huā  sharmātā  huuñ
bhūle-bisre  jo  kabhī  vahshī  sā
tere  kūche  kī  taraf  aatā  huuñ
dekh  darvāze  kī  sūrat  tere
naqsh-e-dīvār  sā  ho  jaatā  huuñ
tū  jo  nikle  hai  badaltā  āñkheñ
us  ghaḌī  apnā  kiyā  paatā  huuñ
dil-e-ġham-ghīñ  ke  ta.iiñ  murdā  sā
god  meñ  apne  uThā  laatā  huuñ
aañsū  pūchhūñ  huuñ  dilāsā  de  de
mannateñ  kar  ke  maiñ  samjhātā  huuñ
vo  nahīñ  māntā  juuñ  juuñ  'hātim'
tuuñ  tuuñ  jiine  se  maiñ  ghabrātā  huuñ