Shaikh Zahuruddin Hatim

ishq ke shahr ki kuchh aab-o-hawa aur hi hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
ishq ke shahr kī kuchh āb-o-havā aur hī hai
us ke sahrā ko jo dekhā to fazā aur hī hai
tujh se kuchh kaam nahīñ duur ho aage se nasīm
vā kare ġhuncha-e-dil ko vo sabā aur hī hai
nabz par merī abas haath tū rakhtā hai tabīb
ye maraz aur hai aur is kī davā aur hī hai
gul to gulshan meñ hazāroñ nazar aa.e lekin
us ke chehre ko jo dekhā to safā aur hī hai
zāhido vird-vazā.if se nahīñ hāsil-e-kār
jis ko ho husn-e-ijābat vo duā aur hī hai
ai jaras harza-dirā ho na tū itnā chup rah
pahuñche pas-māñda ba-manzil vo sadā aur hī hai
mohtasib ham se abas kiina rakhe hai 'hātim'
jo nasha ham ne piyā hai vo nashā aur hī hai
Top Urdushayar.com