ishq  ke  shahr  kī  kuchh  āb-o-havā  aur  hī  hai
us  ke  sahrā  ko  jo  dekhā  to  fazā  aur  hī  hai
tujh  se  kuchh  kaam  nahīñ  duur  ho  aage  se  nasīm
vā  kare  ġhuncha-e-dil  ko  vo  sabā  aur  hī  hai
nabz  par  merī  abas  haath  tū  rakhtā  hai  tabīb
ye  maraz  aur  hai  aur  is  kī  davā  aur  hī  hai
gul  to  gulshan  meñ  hazāroñ  nazar  aa.e  lekin
us  ke  chehre  ko  jo  dekhā  to  safā  aur  hī  hai
zāhido  vird-vazā.if  se  nahīñ  hāsil-e-kār
jis  ko  ho  husn-e-ijābat  vo  duā  aur  hī  hai
ai  jaras  harza-dirā  ho  na  tū  itnā  chup  rah
pahuñche  pas-māñda  ba-manzil  vo  sadā  aur  hī  hai
mohtasib  ham  se  abas  kiina  rakhe  hai  'hātim'
jo  nasha  ham  ne  piyā  hai  vo  nashā  aur  hī  hai