gazak  kī  is  qadar  ai  mast  tujh  ko  kyā  shitābī  hai
hamārā  bhī  dil  sad-laḳht-e-dūkān-e-kabābī  hai
nahīñ  juz  qurs  mahr-o-māh  kuchh  gardūñ  ke  matbaḳh  meñ
so  vo  bhī  ek  nān-e-soḳhta  aur  ek  aabī  hai
chhuḌā  mashshāta  zulf-e-yār  ko  shāne  ke  nīche  se
ki  us  kī  kashmakash  se  dil  ko  mere  pech-o-tābī  hai
badan  par  kuchh  mire  zāhir  nahīñ  aur  dil  meñ  sozish  hai
ḳhudā  jaane  ye  kis  ne  raakh  andar  aag  daabī  hai
shikast  aatī  hai  is  meñ  mauj-e-mai  se  dekhiyo  saaqī
bachānā  Thes  se  shīsha  mire  dil  kā  habābī  hai
rahe  hai  kaam  ham  ko  roz-o-shab  qur.ān  o  masjid  se
ki  abrū  us  kī  hai  mehrāb  aur  chehrā  kitābī  hai
kisū  ke  ablaq-e-ayyām  chaḌhne  kā  nahīñ  raazī
azal  se  'hātim'  is  tausan  meñ  aib-e-bad-rikābī  hai