Shaikh Zahuruddin Hatim

ai dil na kar tu fikr paDega bala ke hath

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
ai dil na kar tū fikr paḌegā balā ke haath
ā.īna ho ke jā ke lag ab dilrubā ke haath
paiġhām dard-e-dil kā mire ġhuncha-lab satī
pahuñchā sakegā kaun magar duuñ sabā ke haath
maiñ ab gila jahāñ meñ begānoñ siiñ kyā karūñ
jiinā huā muhāl mujhe āshnā ke haath
denā nahīñ hai shīsha-e-dil sañg-dil ke ta.iiñ
diije agar ye dil to kisū mīrzā ke haath
āzād ho rahā huuñ do aalam ke qaid suuñ
miitā lagā hai jab satīñ muj be-navā ke haath
taabe razā kā us kī azal siiñ kiyā mujhe
chaltā nahīñ hai zor kisūñ kā qazā ke haath
'hātim' ummīd haq pe na rākhe to kyā kare
mauqūf hai milāp sajan kā ḳhudā ke haath
Top Urdushayar.com