ai  dil  na  kar  tū  fikr  paḌegā  balā  ke  haath
ā.īna  ho  ke  jā  ke  lag  ab  dilrubā  ke  haath
paiġhām  dard-e-dil  kā  mire  ġhuncha-lab  satī
pahuñchā  sakegā  kaun  magar  duuñ  sabā  ke  haath
maiñ  ab  gila  jahāñ  meñ  begānoñ  siiñ  kyā  karūñ
jiinā  huā  muhāl  mujhe  āshnā  ke  haath
denā  nahīñ  hai  shīsha-e-dil  sañg-dil  ke  ta.iiñ
diije  agar  ye  dil  to  kisū  mīrzā  ke  haath
āzād  ho  rahā  huuñ  do  aalam  ke  qaid  suuñ
miitā  lagā  hai  jab  satīñ  muj  be-navā  ke  haath
taabe  razā  kā  us  kī  azal  siiñ  kiyā  mujhe
chaltā  nahīñ  hai  zor  kisūñ  kā  qazā  ke  haath
'hātim'  ummīd  haq  pe  na  rākhe  to  kyā  kare
mauqūf  hai  milāp  sajan  kā  ḳhudā  ke  haath