maiñ  zaat  kā  us  kī  āshnā  huuñ
aur  us  kī  sifāt  par  fidā  huuñ
afsos  ki  aap  ko  maiñ  ab  tak
ma.alūm  nahīñ  kiyā  ki  kyā  huuñ
hai  ain-e-zavāl  meñ  taraqqī
mujh  ko  ki  gul-e-dopahariyā  huuñ
hairat  hai  mujhe  yahī  ki  us  bin
kis  tarah  se  ab  talak  jiyā  huuñ
kartā  nahīñ  maiñ  ḳhushāmad-e-ḳhalq
'hātim'  huuñ  azal  se  be-riyā  huuñ