saaqī  mujhe  ḳhumār  satā.e  hai  lā  sharāb
martā  huuñ  tishnagī  se  ai  zālim  pilā  sharāb
muddat  se  aarzū  hai  ḳhudā  vo  ghaḌī  kare
ham  tum  piyeñ  jo  mil  ke  kahīñ  ek  jā  sharāb
mashrab  meñ  to  durust  ḳharābātiyoñ  ke  hai
maz.hab  meñ  zāhidoñ  ke  nahīñ  gar  ravā  sharāb
saaqī  ke  ta.iiñ  bulāo  uThā  do  tabīb  ko
mastoñ  ke  hai  maraz  kī  jahāñ  meñ  davā  sharāb
be-rū-e-yār  o  mutrib  o  abrū  bahār  o  baaġh
'hātim'  ke  ta.iiñ  kabhī  na  pilā.e  ḳhudā  sharāb