jab  aap  se  hī  guzar  ga.e  ham
phir  kis  se  kaheñ  kidhar  ga.e  ham
kyā  ka.aba  o  dair  o  kyā  ḳharābāt
tū  hī  thā  ġharaz  jidhar  ga.e  ham
aa.e  the  misāl-e-sho.ala  sargarm
jaate  hue  juuñ  sharar  ga.e  ham
shabnam  kī  tarah  se  us  chaman  se
hote  hī  dam-e-sahar  ga.e  ham
kuchh  apne  ta.iiñ  kiyā  na  ma.alūm
kyā  aap  se  be-ḳhabar  ga.e  ham
juz  hasrat-e-umr-e-rafta  afsos
kuchh  aa  ke  yahāñ  na  kar  ga.e  ham
shaiḳhī  se  guzar  hue  qalandar
bigḌe  the  par  ab  sañvar  ga.e  ham
is  darja  hue  ḳharāb-e-ulfat
jī  se  apne  utar  ga.e  ham
faiz  us  lab-e-īsvī  kā  'hātim'
bil-aks  huā  ki  mar  ga.e  ham