gar  bhalā  mānas  hai  to  ḳhandoñ  se  tū  mil  mil  na  hañs
muskurā  juuñ  ġhuncha  par  gul  kī  tarah  khil  khil  na  hañs
ro  ruvā  chāhe  jatā  rone  se  jā  hai  dil  se  dañg
zañg  ho  hai  dil  upar  hañsne  se  aa  ai  dil  na  hañs
tū  hañse  hai  maut  ko  aur  maut  hañstī  hai  tujhe
maut  ko  hañsnā  nahīñ  hai  ḳhuub  ai  ġhāfil  na  hañs
aql  se  hai  duur  hañsnā  dam-ba-dam  aaqil  ke  ta.iiñ
aql  hai  tū  to  kisī  be-aql  par  aaqil  na  hañs
hañs  jatā  chāhe  akelā  hañs  tū  dīvāne  kī  tarah
par  hañsī  meñ  tū  kisī  hañste  se  ho  shāmil  na  hañs
jo  hañsī  hai  aur  ko  us  ne  hañsāyā  aap  ko
is  hañsī  meñ  kuchh  nahīñ  hāsil  hai  be-hāsil  na  hañs
hañste  hañste  meñ  ka.ī  ke  ghar  lage  haiñ  ḳhālse
zabt  kar  apnī  hañsī  'hātim'  tū  ab  yak  til  na  hañs