gul  kī  aur  bulbul  kī  sohbat  ko  chaman  kā  shāna  hai
sarv  hai  juuñ  sham.a  tis  par  fāḳhta  parvāna  hai
roz  o  shab  yā  nauha  yā  zaarī  hai  yā  āh-o-fuġhāñ
yā  ilāhī  ye  koī  dil  hai  ki  mātam-ḳhāna  hai
tan  kar  us  kī  teġh  ke  aage  huā  hai  sar-ba-kaf
hai  qayāmat  hai  ġhazab  ye  dil  hai  yā  dīvāna  hai
bulbul-e-tasvīr  kī  mānind  said-e-dil  ke  ta.iiñ
ne  havā  uḌne  kī  ne  parvā-e-āb-o-dāna  hai
ek  hālat  par  na  dekhā  us  ko  ham  ne  ek  aan
gah  gul  o  gah  bulbul  o  gah  sham.a  o  gah  parvāna  hai
mo.atakif  ho  shaiḳh  apne  dil  meñ  masjid  se  nikal
sāhib-e-dil  kī  baġhal  meñ  dil  ibādat-ḳhāna  hai
mai-kasho  mujh  ko  tumhārī  bazm  kī  hasrat  nahīñ
paas  mere  diida  o  dil  shīsha  o  paimāna  hai
ḳhvāb  meñ  the  jab  talak  thā  dil  meñ  duniyā  kā  ḳhayāl
khul  ga.iiñ  āñhkeñ  to  dekhā  ham  ne  sab  afsāna  hai
sher  ustādāna  o  'hātim'  hai  be-bākāna-vaz.a
tab.a  āzādāna  o  auqāt  darveshāna  hai