tū  jo  kahtā  hai  boltā  kyā  hai
amr-e-rabbī  hai  rūh-e-maulā  hai
jab  talak  hai  judā  tū  hai  qatra
bahr  meñ  mil  gayā  to  dariyā  hai
fil-haqīqat  koī  nahīñ  martā
maut  hikmat  kā  ek  pardā  hai
aur  sharī.at  kī  pūchhtā  hai  tū  yaar
vahdahū  lā-sharīk  yaktā  hai
haigā  vahm-o-qayās  se  bāhar
vo  na  tujh  sā  hai  aur  na  mujh  sā  hai
jahāñ  ho  jo  kaho  samī-o-basīr
sab  ko  dekhe  hai  sab  kī  suntā  hai
nazar  aatā  nahīñ  vo  a.amā  ko
varna  us  kā  zuhūr  sab  jā  hai
var  tarīqat  kā  tū  kare  hai  savāl
so  to  kahtā  huuñ  gar  samajhtā  hai
ġhair-e-haq  ke  na  dekh  ġhair  taraf
dīda-e-dil  jo  terā  biinā  hai
baat  suntā  hai  to  usī  kī  sun
gar  tarīqat  se  tujh  ko  bahrā  hai
us  ke  tū  zikr  bin  na  kar  kuchh  zikr
gar  dahāñ  meñ  zabān-e-goyā  hai
haath  se  kaam  bhī  usī  kā  kar
paañv  se  chal  jo  raah  us  kā  hai
kaam  is  meñ  baḌā  hai  nafs-kushī
ho  sake  to  ajab  tamāshā  hai
ma.arifat  pūchh  kyā  hai  aarif  se
jis  ko  irfān  hai  so  to  gūñgā  hai
jis  ne  paayā  use  so  hai  ḳhāmosh
jis  ne  paayā  nahīñ  so  baktā  hai
aap  hī  aap  hai  jahāñ  dekho
kullo-shai.in  muhīt-e-paidā  hai
ishq  kā  martaba  hai  sab  se  buland
sar  se  pahle  qadam  guzartā  hai
jo  huā  sirr-e-ishq  se  āgāh
aage  marne  se  aap  martā  hai
jo  fanā  ho  huā  baqā-billāh
kab  use  zindagī  kī  parvā  hai
us  ko  har  aan  har  qadam  har  dam
az  surā  sair  tā-surayyā  hai
ramz-e-tauhīd  ko  samajh  kar  bol
gar  tū  sāhib-shu.ūr-o-dānā  hai
vo  na  samjhegā  ye  suḳhan  'hātim'
jis  ko  jahl  aur  ḳhayāl-e-saudā  hai