Shaikh Zahuruddin Hatim

ek to teri daulat tha hi dil ye saudai

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
ek to tirī daulat thā hī dil ye saudā.ī
tis upar qayāmat hai be-kasī o tanhā.ī
tere ta.iiñ to lāzim thā tauba kā sabab pūchhe
mai-kashī se ai saaqī go ki ham qasam khaa.ī
dil to ech-pechoñ se dām-e-ḳhat ke chhūTā thā
zulf phir na.e sar se sar upar balā laa.ī
jī to be-qarārī se jāñ-ba-lab hai ai nāseh
ko tahammul o tāqat sabr aur shakebā.ī
umr-e-āshiq-o-ma.ashūq sarf-e-nāz-o-hairat hai
husn hai adā-pardāz ishq hai tamāshā.ī
raat us kī mahfil meñ sar se jal ke paañv tak
sham.a kī pighal charbī ustuḳhāñ nikal aa.ī
hasb-e-hāl 'hātim' hai sher-e-'mīrzā-maz.har'
us se phir ziyāda kuchh hai ibārat-ārā.ī
''dil hamesha mī-ḳhvāhad tauf-e-kū-e-jānāñ rā
haa.e be-par-o-bālī vaa.e nā-tavānī''
Top Urdushayar.com