ek  to  tirī  daulat  thā  hī  dil  ye  saudā.ī
tis  upar  qayāmat  hai  be-kasī  o  tanhā.ī
tere  ta.iiñ  to  lāzim  thā  tauba  kā  sabab  pūchhe
mai-kashī  se  ai  saaqī  go  ki  ham  qasam  khaa.ī
dil  to  ech-pechoñ  se  dām-e-ḳhat  ke  chhūTā  thā
zulf  phir  na.e  sar  se  sar  upar  balā  laa.ī
jī  to  be-qarārī  se  jāñ-ba-lab  hai  ai  nāseh
ko  tahammul  o  tāqat  sabr  aur  shakebā.ī
umr-e-āshiq-o-ma.ashūq  sarf-e-nāz-o-hairat  hai
husn  hai  adā-pardāz  ishq  hai  tamāshā.ī
raat  us  kī  mahfil  meñ  sar  se  jal  ke  paañv  tak
sham.a  kī  pighal  charbī  ustuḳhāñ  nikal  aa.ī
hasb-e-hāl  'hātim'  hai  sher-e-'mīrzā-maz.har'
us  se  phir  ziyāda  kuchh  hai  ibārat-ārā.ī
''dil  hamesha  mī-ḳhvāhad  tauf-e-kū-e-jānāñ  rā
haa.e  be-par-o-bālī  vaa.e  nā-tavānī''