tirī  bhuvāñ  kī  teġh  jab  aa.ī  nazar  mujhe
karnā  huā  zarūr  miyāñ  tark-e-sar  mujhe
zīnat  hai  āshiqoñ  ko  lab-e-ḳhushk  o  chashm-e-tar
hāsil  huī  hai  saltanat-e-bahr-o-bar  mujhe
bārīk-bīñ  huuñ  mujh  se  kaho  us  miyāñ  kī  baat
rahtā  hai  bas-ki  dil  meñ  ḳhayāl-e-kamar  mujhe
be-ḳhud  huuñ  is  qadar  ki  nahīñ  dil  ko  shauq-e-mai
us  mast  ki  nigah  kā  huā  hai  asar  mujhe
maiñ  koh  o  dasht  ek  qadam  meñ  kiyā  hai  tai
majnūñ  o  kohkan  kī  nahīñ  kuchh  ḳhabar  mujhe
jab  sīm-bar  ke  ġham  se  huā  rañg  juuñ  talā
tab  sab  ne  jā  aziiz  kiyā  misl-e-zar  mujhe
'hātim'  huā  huuñ  āl-e-nabī  kī  panāh  meñ
duniyā  o  diiñ  ke  ġham  se  nahīñ  kuchh  ḳhatar  mujhe