sanam  ke  dekh  kar  lab  aur  dahan  surḳh
huā  hai  ḳhūn-e-bulbul  se  chaman  surḳh
shahīd-e-lāla-rūyāñ  ko  bajā  hai
dafan  ke  vaqt  gar  kiije  kafan  surḳh
huā  majnūñ  ke  haq  meñ  dasht  gulzār
kiyā  hai  ishq  ke  Tesū  ne  ban  surḳh
guloñ  kā  rañg  ab  zard  ho  gayā  hai
chaman  meñ  dekh  kar  terā  badan  surḳh
kar  'hātim'  yaad  ahvāl-e-shahīdāñ
shafaq  se  jab  ki  hotā  hai  gagan  surḳh