kalejā  muñh  ko  aayā  aur  nafas  karne  lagā  tañgī
huā  kyā  jaan  ko  merī  abhī  to  thī  bhalī-chañgī
zaqan  kī  chaah  meñ  ye  sabzī-e-ḳhat  zahr-e-qātil  hai
parī  hai  bhāñg  kuue  meñ  na  ho  kyuuñ  ḳhalq  chit-bhañgī
jahāñ  kī  tarah  sau  sau  rañg  pal  pal  meñ  badaltā  hai
kabhū  kuchh  hai  kabhū  kuchh  hai  kabhū  kuchh  hai  vo  bahū-rañgī
tire  ruḳhsār  se  be-tarah  lipTī  jaa.e  hai  zālim
jo  kuchh  kahiye  to  bal  khā  uljhatī  hai  zulf  be-Dhañgī
ġharīboñ  kā  ḳhudā-hāfiz  hai  'hātim'  dekhiye  kyā  ho
ki  vo  hai  chuur  kaifī  haath  meñ  shamshīr  hai  nañgī