tū  sub.h-dam  na  nahā  be-hijāb  dariyā  meñ
paḌegā  shor  ki  hai  āftāb  dariyā  meñ
chalo  sharāb  piyeñ  baiTh  kar  kināre  aaj
ki  hove  rashk  se  maahī  kabāb  dariyā  meñ
tumhāre  muñh  kī  safā.ī  o  āb-dārī  dekh
bahā  hai  sharm  se  motī  ho  aab  dariyā  meñ
maiñ  is  tarah  se  huuñ  mehmāñ  sara-e-duniyā  meñ
ki  jis  tarah  se  hai  koī  hubāb  dariyā  meñ
jahāñ  ke  bahr  meñ  har  mauj  buujh  sail-e-fanā
banā  na  ghar  ko  tū  ḳhāna-ḳharāb  duniyā  meñ
kabhū  jo  ālam-e-mastī  meñ  tum  ne  kī  thī  nigāh
bajā.e  aab  bahe  hai  sharāb  dariyā  meñ
maiñ  āb-e-chashm  meñ  huuñ  ġharq  mujh  ko  niiñd  kahāñ
kahīñ  kisū  ko  bhī  aayā  hai  ḳhvāb  dariyā  meñ
agar  hai  ilm  jo  tujh  ko  amal  ke  dar  pe  ho
vagarna  shaiḳh  Dubā  de  kitāb  dariyā  meñ
sanam  kī  zulf  kī  lahroñ  ke  rashk  se  'hātim'
nahīñ  ye  mauj  ye  hai  pech-o-tāb  dariyā  meñ