hamārī  aql-e-be-tadbīr  par  tadbīr  hañstī  hai
agar  tadbīr  ham  karte  haiñ  to  taqdīr  hañstī  hai
asīroñ  kā  nahīñ  kuchh  shor-o-ġhul  ye  aaj  zindāñ  meñ
mire  dīvāna-pan  ko  dekh  kar  zanjīr  hañstī  hai
kabhū  pahuñchī  na  is  ke  dil  talak  rah  hī  meñ  thak  baiThī
bajā  us  āh-e-be-tāsīr  par  tāsīr  hañstī  hai
tū  sūrat  us  kī  kyā  khīñgā  apnī  dekh  to  sūrat
musavvir  is  tirī  tasvīr  par  tasvīr  hañstī  hai
vahī  hai  mard  jo  ho  rū-ba-rū  tarvār  ke  'hātim'
ki  muñh  ke  pherte  nāmard  par  shamshīr  hañstī  hai