kyūñki  dīvāna  beḌiyāñ  toḌe
is  ko  jaane  hai  paañv  ke  toḌe
sab  ne  moḌā  hai  muñh  ḳhudā  na  kare
terī  tarvār  ham  se  muñh  moḌe
tere  kūche  meñ  sar  shahīdoñ  ke
haiñ  paḌe  jaise  baaT  ke  roḌe
zarf  TuuTā  to  vasl  hotā  hai
dil  koī  TuuTā  kis  tarah  joḌe
ek  parvāz  meñ  dikhā.ūñ  par
jo  vo  sayyād  mere  ta.iiñ  chhoḌe
kohkan  jāñ-kanī  hai  mushkil  kaam
varna  bahtere  haiñ  pathar  phoḌe
har  ghaḌī  ham  ko  āzmānā  kyā
chāhne  vaale  aur  haiñ  thoḌe
qatl  kartā  hai  tū  jo  'hātim'  ko
kaun  uThāvegā  tere  naktoḌe