Shaikh Zahuruddin Hatim

hum ko kab intizar hai fasl-e-bahaar ho na ho

Shaikh Zahuruddin Hatim

Delhi, India

1699-1783
ham ko kab intizār hai fasl-e-bahār ho na ho
dāġh-e-jigar shagufta bād-e-gul ba-kanār ho na ho
dard tū mere paas se marte talak na jā.iyo
tāqat-e-sabr ho na ho tāb-o-qarār ho na ho
sub.h to huī hai der kyā terī balā se sāqiyā
jām-e-sharāb tū to de ham ko ḳhumār ho na ho
tīr-e-nigah lagā ke tum kahte ho phir lagā na ḳhuub
merā to kaam ho gayā siine ke paar ho na ho
tālib-e-yak-nazāra huuñ itnā bhī mujh se bair kyā
muñh to mirī taraf ko ho go ki do-chār ho na ho
halqa-e-dar hai halqa-zan koī bhalā ḳhabar to lo
dil mirā shādi-marg hai hai vahī yaar ho na ho
'hātim' agar gunāh kare shikva na kar ḳhudā se Dar
fidvī jāñ-nisār hai tū bhī hazār ho na ho
Top Urdushayar.com