ham  ko  kab  intizār  hai  fasl-e-bahār  ho  na  ho
dāġh-e-jigar  shagufta  bād-e-gul  ba-kanār  ho  na  ho
dard  tū  mere  paas  se  marte  talak  na  jā.iyo
tāqat-e-sabr  ho  na  ho  tāb-o-qarār  ho  na  ho
sub.h  to  huī  hai  der  kyā  terī  balā  se  sāqiyā
jām-e-sharāb  tū  to  de  ham  ko  ḳhumār  ho  na  ho
tīr-e-nigah  lagā  ke  tum  kahte  ho  phir  lagā  na  ḳhuub
merā  to  kaam  ho  gayā  siine  ke  paar  ho  na  ho
tālib-e-yak-nazāra  huuñ  itnā  bhī  mujh  se  bair  kyā
muñh  to  mirī  taraf  ko  ho  go  ki  do-chār  ho  na  ho
halqa-e-dar  hai  halqa-zan  koī  bhalā  ḳhabar  to  lo
dil  mirā  shādi-marg  hai  hai  vahī  yaar  ho  na  ho
'hātim'  agar  gunāh  kare  shikva  na  kar  ḳhudā  se  Dar
fidvī  jāñ-nisār  hai  tū  bhī  hazār  ho  na  ho