yaar  niklā  hai  āftāb  kī  tarah
kaun  sī  ab  rahī  hai  ḳhvāb  kī  tarah
chashm-e-mast-e-siyah  kī  yaad  mudām
shīsha-e-dil  meñ  hai  sharāb  kī  tarah
kabhū  ḳhāmosh  huuñ  kabhū  goyā
sarnavisht  hai  mirī  kitāb  kī  tarah
past  ho  chal  misāl  dariyā  ke
ḳhema  barpā  na  kar  habāb  kī  tarah
pā-bosī  kuuñ  us  kā  hai  gar  shauq
qad  kuuñ  apne  banā  rikāb  kī  tarah
saaf  dil  hai  to  aa  kudūrat  chhoḌ
mil  har  ik  rañg  biich  aab  kī  tarah
piiv  piive  hai  sharāb  'hātim'  saath
kyuuñ  na  dushman  jale  kabāb  kī  tarah