tumhāre  ishq  meñ  ham  nañg-o-nām  bhuul  ga.e
jahāñ  meñ  kaam  the  jitne  tamām  bhuul  ga.e
namāziyoñ  ne  tujh  abrū  ko  dekh  masjid  meñ
ba-samt-e-qibla  sujūd-o-qayām  bhuul  ga.e
ye  vaz.a  kyā  hai  ki  hote  nahīñ  ho  dast-basar
abhī  se  apnoñ  kā  lenā  salām  bhuul  ga.e
ga.e  the  zo.am  meñ  apne  par  us  ko  dekhte  hī
jo  dil  ne  ham  se  kahe  the  payām  bhuul  ga.e
tirī  taraf  huī  sūrat-garān-e-chīñ  kī  nigāh
qalam  ko  haath  se  rakh  apnā  kaam  bhuul  ga.e
butān-e-charb-zabāñ  sun  ke  ḳhūbi-e-guftār
adab  meñ  dab  ga.e  husn-e-kalām  bhuul  ga.e
tirī  ai  sarv-e-ravāñ  dekh  kar  anokhī  chaal
jo  ḳhush-ḳhirām  the  apnā  ḳhirām  bhuul  ga.e
tirī  ye  zulf-e-girah-gīr  dekh  kar  sayyād
shikār  aap  hue  said  o  daam  bhuul  ga.e
baḌā  ġhazab  hai  ki  'hātim'  ko  tum  na  pahchānā
vahī  qadīm  tumhārā  ġhulām  bhuul  ga.e