kyā  huā  gar  shaiḳh  yaaro  hājī-ul-harmain  hai
tauf-e-dil  kā  haq  meñ  us  ke  diin  farz-e-ain  hai
raat  din  jaarī  haiñ  kuchh  paidā  nahīñ  in  kā  kanār
mere  chashmoñ  kā  do-ābā  majma-ul-bahrain  hai
ġhair  jaave  us  ke  ghar  aur  vo  na  aave  ghar  mire
donoñ  bāteñ  dostāñ  haq  meñ  mire  ḳhabrain  hai
vaqt  fursat  de  to  mil  baiTheñ  kahīñ  bāham  do  dam
ek  muddat  se  diloñ  meñ  hasrat-e-tarfain  hai
aao  ai  saaqī  shitābī  aa  ke  sham-e-bazm  ho
saarī  majlis  intizārī  meñ  tirī  bechain  hai
do  qaran  guzre  isī  fikr-e-suḳhan  meñ  roz-o-shab
reḳhte  ke  fan  meñ  'hātim'  aaj  zulqarnain  hai